vandana
hey kripanidhaan; karuna ki khan,
tujhme hai adbhut; shakti-gyaan.
Tujhse hi chalta; ye srasti-yaan,
Tujhme hi samahit; vishwa-mahaan.
Soorya ban; is vasundhara ko,
Karta to hi; dedipyamaan.
Megh ban; nij kalmia se ,
Dhak leta; tu hi aasmaan.
Daya ,kshama; karuna; ke sagar
Tu hai aparmit; gudon ki khan.
Mai anuragi; vivekheen nar
Kaise karu; tera bakhan.
Karu mai ; tera hi gungaan
Aisee mujhko; shakti de prabhu,
Japu sada; tera hi naam.
,
.........................................
.
,
.